લેબલ internat સાથે પોસ્ટ્સ બતાવી રહ્યું છે. બધી પોસ્ટ્સ બતાવો
લેબલ internat સાથે પોસ્ટ્સ બતાવી રહ્યું છે. બધી પોસ્ટ્સ બતાવો

24/10/16

Voter id card me apna name kese check kare onlineHello Friends ! Aaj hum janenge ki "How to check online voter ID Card" or "How to check Online Voter ID Card List". Ji haan Kya aap jante hai ki hum Internet ki help se Bharat Nirvachan Aayog ki website par dekh sakte hai ki humara name Voter List me hai ya nhi. Yah bahut hi aasaan tarika hai. Aaj mai aapko 2 tarike bataunga jinki madad se aap sikhenge ki hum online voter list me apna name kaise check kar sakte hai. Iske alawa kisi bhi City ya gaav ke voters ki list hum online dekh sakte hai.Duniya ke kisi bhi kone me baithkar aap voter list me apna name check kar sakte hai. Dosto kai bar kya hota hai ki election ke time elections se pahle humare ghar par humare name ki ek slip aati hai jisme humara name, Voting center etc ke bare me jankari di hui hoti hai, Voting ke time hume us slip ko sath me le jana hota hai. Lekin
Kai bar hume vah slip nahi mil pati hai. To hume ghabarane ki jarurat nhi hai. Aaj jo tarika hum sikhenge usme ye sari jankari hume mil jaegi. Even mai to kehta hu aap ye slip bhi sath me le ja skte hai. Aap internet ki help se apna name voter list me check kar sakte hai aur ise print lekar sath me le ja skte hai. Aur kisi bhi voter ki slip aap online nikal skte hai. Bharat Nirvachan Aayog ye sari jankari hume online provide karta hai.
Mai aapko yaha 2 tarike bataunga jinki help se aap apna online voter ID card internet se download kar sakte hai aur print le kar apne pas rakh sakte hai. To chaliye jante hai kaise online internet ki madad se hum voter ID list me apna name chaeck kar sakte hai.
Method-1 :
Sabse pahle to aap ECI Website par click karein. Ab aapko yaha bharat se sabhi States ke name dikhai denge. Aap jis state se belong karte hai ya fir aapka name jis state ki voter List me juda ho us state par click karein. Jaise hi aap State par click karenge aapke samne ek aur new page open hoga. Yaha par aapko dropdown list / combo box me Apne District ka name select karna hoga. Jaise hi aap District ka name select karenge vaise hi aapko us district ki sari tehsil ke names dikhai denge. 
Ab aap yaha par apni tehsil ka name select karein. Jaise hi aap  apni tehsil ka name select karenge vaise hi page fir se load hoga aur us tehsile ke sare villages ke name aapko dikhai dene lagenge. Ab jo bhi village ya town ya city ki voter list aapko dekhna hai aap us city ya village ke name par click kare. Jaise hi aap us city ya town ke name par click karenge vaise hi aapko us village / town/ city ki puri ki puri voter list center wise open ho jaegi. Aur aap apna name isme check kar sakte hai.
To dosto Yadi aapko yah process pahle se pata thi to achhi bat hai lekin yadi nahi pata thi to aap ek bar ise jarur try kariyega. Aur apne friends ke sath ise share jarur kijiyega. Ab hum dusra tarika janenge jo ki or bhi easy hai.
Method - 2
Sabse pahle aapElectrolSearch par click karein. Is par click karne ke bad aapke samne ek page open hoga. Ab yaha par fir se 2 tarike hai jinke dwara aap apna voter ID Card dekh sakte hai. yaha par aapko 2 tabs dikhai denge ek to "विवरण द्वारा खोज/Search by Details" aur dusra "पहचान-पत्र क्र. द्वारा खोज/Search by EPIC No.". 

electoralsearchMeans yadi aapke paas apna EPIC No. hai (Jo ki har voter ID Card ke upar likha hota hai) to aap sirf apna EPIC no. dalkar bhi apna Voter ID card nikal sakte hai. Yadi aapko apna EPIC No. yad hai to aapko sirf apna EPIC no. aur State ka name likhna hoga aur aapka Voter ID card aapke samne open ho jaega.

electoralsearch Lekin yadi aapko apna EPIC No. yad nhi hai to bhi aap apni sari detail dalkar bhi apna Voter ID card dekh sakte hai.
Isme bas fark itna hi hai ki yadi aapko apna EPIC No. yad hai to aap aur bhi easy tarike se apna Voter ID card dekh v search kar sakte hai. To finally humne apna Voter ID card search kar hi liya. Aap bhi kam se kam ek bar  in methods ke through apna name voter list me jarur check kare.
To Dosto ! Finally humne sikha ki kaise hum apna name online voter list me check kar sakte hai aur sath hi voter Slip download bhi kar sakte hai. Aap ise jarur try kare aur yadi fir bhi koi problem ho to jarur apna Question niche comment box me type kare. Mai jarur aapki help karunga. Yadi yah post achhi lagi ho to please apne facebook par share jarur kare. Mujhe bahut achha lagega. Thank You in advance. Mai aapse bahut hi jaldi milunga meri next post me. Tab tak padhte rahiye

Free sms kese kare kisi bhi number par international number par


Dosto aaj hum is post me sikhenge ki hum Internet ki help se National & International  mobile number par Free Text Message ya SMS kaise kar sakte hai. Free sms to mobile Tricksikhne ke liye aaj maine yah post upoad ki hai. Apne Mobile se to humne kai sare  SMS kiye hai Lekin SMS tarriff par telecom companies ki manchahi vasuli ke karan aajkal hum sabhi ne mobile messaging karna to lagbhag band hi kar diya hai. 

Iski jagah Whats App ne leli hai. Aaj har koi har kisi se puchhta haiBhai sab aapka Whats App Number kya hai ? Iski sabse badi vajah Telecom compniyo ki apni manmaani hai. Ye Comapniya day-to-day apne tarrif plans mehange karti hi ja rhi hai. To aaj hum aisi Trick ke bare me sikhenge jisse ki hum apne friend ya relative ko ya fir kisi ko bhi, jiska Mobile number humare pas hai use free me SMS kar sakte hai. Iske liye hume koi charge bhi nhi dena hoga.

Free sms sites
Mai aapko kuchh companies ki list de rha hu jo ki Free SMS service provide karti hai. In Websites par jakar aap Registration karke apna account create kar sakte hai aur Phonebook bhi create kr sakte hai. Iske bad aap jise chahe use individually ya fir Group SMS kar sakte hai. List Of Website

Upar di gai websites par jakar aap apni detail Register karke Apna account create kar sakte hai. Ab mai aapko ek aisi website ke bare me bataane ja rha hu jis par ki aap bina register kiye International SMS send kar sakte hai vo bhi kisi bhi Mobile par.

Ji ha ab send kijiye International SMS vo bhi kisi bhi number par aur sabse badi bat yah ki hume iske liye Registration nahi karna padta hai. Internation Mobile number par SMS send karne ke liye yaha click kare.
Is Website par jakar aap us country ka name select kare jis country me aapko Free SMS send karna hai. Iske bad Mobile number dalkar aap us number par SMS send kar sakte hai.

To dosto aaj humnse sikha ki hum kaise  National and Internation SMS kisi bhi mobile par free me send kar sakte hai. Post yadi achhi lagi ho to please please comment karna mat bhuliyega